हज़रत हूद अलैहिस्सलाम ।। Biography of Hazrat Hood Alaihissalam


Hazrat Hood Alaihissalam:

हज़रत हूद अलैहिस्सलाम सर ज़मीने अरब में पैदा होने वाले सबसे पहले नबी हैं 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 11,सफह 547

आपका नस्ब नामा युं है हूद बिन अब्दुल्लाह बिन रिबाह बिन खुलूद बिन आद बिन औस बिन इरम बिन साम बिन हज़रत नूह अलैहिस्सलाम,चुंकि हज़रते नूह अलैहिस्सलाम की नस्ल में आद नामी शख्स गुज़रे हैं जिनकी तरफ मंसूबियत करते हुए आपकी क़ौम को क़ौमे आद कहा गया,आप हज़रत नूह अलैहिस्सलाम से 800 साल बाद तशरीफ लाये

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 174

क़ौमे आद के लोग 400,500 गज़ लम्बे हुआ करते थे उनके यहां बौना शख्स भी 300 गज़ का होता था 

📕 जलालैन,हाशिया 14,सफह 135

आपकी क़ौम बुत परस्त थी उनके तीन बड़े बुत थे जिनके नाम उन्होंने सदा, समूद और हबा रखा थे, हज़रत हूद अलैहिस्सलाम ने तीन शख्स अश्र ,नुअैम और मुदस्सिर जो कि आप पर ईमान ला चुके थे उनको क़ौम की तरफ तब्लीग के लिए भेजा क्यूंकि ये अपना ईमान अपनी क़ौम से छिपाये हुए थे,क़ौम ने इन तीनो को अपना तो समझा मगर उनकी बात को तस्लीम नहीं किया,बहुत समझाने पर भी जब क़ौम नहीं मानी तो अल्लाह रब्बुल इज़्ज़त ने उन पर तीन साल तक बारिश रोक दी और इस दर्मियान उनकी औरतों को भी बांझ कर दिया, हज़रत हूद अलैहिस्सलाम उनको अज़ाब से डराते तो कहते कि हम बहुत ताक़तवर हैं किसी भी अज़ाब को रोक लेने की क़ुदरत रखते हैं चुंकि वो बहुत बड़े पत्थरों और चट्टानों को भी उठा लिया करते थे और अपनी इसी ताक़त पर उन्हें बहुत घमंड हो गया था,जब क़ौम नहीं मानी तो उन पर अज़ाबे इलाही ये आया कि काले बादल ने पूरे खित्ते को घेर लिया वो समझें कि अब बारिश होगी चुंकि तीन साल से बारिश नहीं हुई थी मगर पानी का एक कतरा भी ना गिरा और लगातार 7 रात आठ 8 दिन तेज आंधियां चलती रही जिसमे इंसान और जानवर सब उड़ने लगे,हवा के ज़ोर से किसी की गर्दन टूटी तो किसी का बदन और कोई तो रेत के टीले में दफन हो गया,इसी तरह पूरी क़ौम अज़ाब से मर गई मगर यही हवा हज़रत हूद अलैहिस्सलाम व उनके मानने वालों के लिए रहमत बनी रही और किसी को कोई नुकसान नहीं पहुंचा 

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 175--181

हज़रत हूद अलैहिस्सलाम की उम्र 464 साल हुई 

📕 तफसीरे सावी,जिल्द 2,सफह 72

हज़रत हूद अलैहिस्सलाम की मज़ार में इख्तिलाफ है या तो हज़रे मौत या मक़ामे इब्राहीम या फिर ज़मज़म शरीफ के दरमियान बताई जाती है 

📕 खाज़िन,जिल्द 2,सफह 207


Hazrat hood alaihissalam sar zameene arab me paida hone waale sabse pahle nabi hain

📕 Tafseere nayimi,jild 11,safah 547

Aapka nasb naama yun hai hood bin abdullah bin ribaah bin khulood bin aad bin aus bin iram bin saam bin hazrat nooh alaihissalam,chunki hazrate nooh alaihissalam ki nasl me aad naami shakhs guzre hain jinki taraf mansubiyat karte hue aapki qaum ko qaume aad kaha gaya,aap hazrat nooh alaihissalam se 800 saal baad tashrif laaye

📕 Tazkiratul ambiya,safah 174

Qaume hood ke log 400,500 gaz lambe hua karte the unke yahan bauna shakhs bhi 300 gaz ka hota tha

📕 Jalalain,hashiya 14,safah 135

Aapki qaum but parast thi unke teen bade but the jinke naam unhone sada samood aur haba rakhe the,hazrat hood alaihissalam ne teen shakhs ashr nuaim aur mudassir jo ki aap par imaan la chuke the unko qaum ki taraf tableeg ke liye bheja kyunki ye apna imaan apni qaum se chhipaye hue the,qaum ne in teeno ko apna to samjha magar unki baat ko tasleem nahin kiya,bahut samjhane par bhi jab qaum nahin maani to ALLAH rabbul izzat ne unpar teen saal tak baarish rok di aur is darmiyan unki aurton ko bhi baanjh kar diya,hazrat hood alaihissalam unko azaab se daraate to kahte ki hum bahut taaqatwar hain kisi bhi azaab ko rok lene ki qudrat rakhte hain chunki wo bahut bade pattharon aur chattano ko bhi utha liya karte the aur apni isi taaqat par unhein bahut ghamand ho gaya tha,jab qaum nahin maani to un par azaabe ilaahi ye aaya ki kaale baadal ne poori khitte ko gher liya wo samjhen ki ab baarish hogi chunki teen saal se baarish nahin huyi thi magar paani ka ek qatra bhi na gira aur lagataar 7 raat aut 8 din tez aandhiyan chalti rahi jisme insaan aur jaanwar sab udne lage,hawa ke zor se kisi ki gardan tooti to kisi ka badan aur koi to reit ke teele me dafan ho jaata,isi tarah poori qaum azaab se mar gayi magar yahi hawa hazrat hood alaihissalam wa unke maanne waalon ke liye rahmat bani rahi aur kisi ko koi nuksaan nahin pahuncha

📕 Tazkiratul ambiya,safah 175--181

Hazrat Hood Alaihissalam ki umr 464 saal huyi 

📕 Tafseere saavi,jild 2,safah 72

Aapki mazaar me ikhtilaaf hai ya to hazre maut ya maqaame ibraheem ya fir zamzam sharif ke darmiyan batayi jaati hai

📕 Khaazin,jild 2,safah 207

No comments