उम्मुल मोमेनीन हज़रत सय्यदना ज़ैनब बिन्त जहश रज़ियल्लाहु तआला अन्हा ।। Hazrate Zainab Radiyallahu Ta'ala Anha
उम्मुल मोमेनीन हज़रत सय्यदना ज़ैनब बिन्त जहश रज़ियल्लाहु तआला अन्हा
*कंज़ुल ईमान* - और ना किसी मुसलमान मर्द ना मुसलमान औरत को पहुंचता है कि जब अल्लाह व रसूल कुछ हुक्म फरमा दें तो उन्हें अपने मुआमले का कुछ इख्तियार रहे
📕 पारा 22,सूरह अहज़ाब,आयत 36
*तफसीर* - हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम ने अपने आज़ाद कर्दा ग़ुलाम हज़रत ज़ैद बिन हारिसा का निकाह का पैगाम जब अपनी फूफी ज़ाद बहन हज़रते ज़ैनब को दिया तो आपने और आपके भाई ने इस निकाह से ये कहकर मना कर दिया कि हम क़ुरैश यानि आला खानदान से हैं और ज़ैद ग़ुलाम हैं और ये भी कि वो खूबसूरत भी नहीं हैं,तो ये आयत उतरी और मौला फरमाता है कि जब मेरा महबूब किसी को कुछ हुक्म फरमा दे तो अब किसी को ये इख्तियार नहीं है कि अपने बारे में खुद सोचे,तब हज़रत ज़ैनब ने ये निकाह किया मगर हिकमते खुदावन्दी कि 1 साल में ही मियां बीवी के दर्मियान नाइत्तिफाक़ी हुई और हज़रते ज़ैद ने उनको तलाक़ दे दिया,बाद इद्दत गुज़रने के हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम ने हज़रते ज़ैद को ही उनके पास अपने निकाह का पैग़ाम लेकर भेजा इसलिए ताकि लोगों को इल्म हो जाये कि अब ज़ैद के दिल में हज़रते ज़ैनब के लिए कोई ख्वाहिश नहीं है,तो हज़रते ज़ैनब ने ये कहकर रोक दिया कि मैं अपने रब से मशवरा कर लूं तब जवाब दूंगी,फिर आपने 2 रकात नमाज़ पढ़ी और सज्दे में ये दुआ की कि ऐ मौला तेरा महबूब मुझसे निकाह के ख्वाहिश मन्द हैं अगर मैं उनके लायक हूं तो तू मेरा निकाह उनसे कर दे तब ये आयत उतरी और मौला फरमाता है कि
*कंज़ुल ईमान* - फिर जब ज़ैद की गर्ज़ उससे निकल गयी तो हमने वो तुम्हारे निक़ाह में दे दी
📕 पारा 22,सूरह अहज़ाब,आयत 37
* इस तरह हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम का ये निकाह खुद खुदा ने अर्शे मुअल्ला पर कर दिया और हज़रत जिब्रील अलैहिस्सलाम उसके गवाह हुए
* ये आपकी फूफी उमैमा बिन्त अब्दुल मुत्तलिब की बेटी थीं
* आप 5 हिजरी में अज़्वाजे मुतहहरात में दाखिल हुईं
* आपका महर 400 दरहम था
* आप इस खुशी में 2 महीने तक लगातार रोज़े से रहीं और फरमाती हैं कि मुझे दीगर अज़्वाज से 3 फज़ीलतें ऐसी मिली हैं जो किसी और को हासिल नहीं पहली ये कि मेरे और हुज़ूर के जद्द एक हैं दूसरा ये कि मेरा निकाह खुद खुदा ने आसमान पर किया और तीसरा ये कि हज़रत जिब्रील उसके गवाह हुए
* आपका विसाल 53 साल की उम्र में 20 या 21 हिजरी को हुआ और हज़रते उमर फारूक़े आज़म रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने आपकी नमाज़े जनाज़ा पढ़ाई और जन्नतुल बक़ीअ में आपको दफ्न किया गया
* आपसे 11 हदीसें मरवी हैं जिनमे से 2 बुखारी व मुस्लिम शरीफ में है बाकी की 9 दीगर किताबों में
📕 खज़ाईनुल इरफान,सफह 502
📕 सीरतुल मुस्तफा,सफह 536
📕 मदारेजन नुबूवत,जिल्द 2,सफह 817
*===============================*
*===============================*
*KANZUL IMAAN* - Aur na kisi musalman mard na musalman aurat ko pahunchta hai ki jab ALLAH wa RASOOL kuchh hukm farma dein to unhein apne muaamle ka kuchh ikhtiyar rahe
📕 Paara 22,surah ahzaab,aayat 36
*TAFSEER* - Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne apne aazad karda ghulam hazrat zaid bin haarisa ka nikah ka paigham jab apni phoophi zaad bahan hazrate zainab ko diya to aapne aur aapke bhai ne is nikah se ye kahkar mana kar diya ki hum quraish yaani aala khaandan se hain aur zaid ghulam aur ye bhi ki wo khoobsurat bhi nahin hain to ye aayat utri ki jab mera mahboob kisi ko kuchh hukm farma de to ab kisi ko ye ikhtiyar nahin hai ki apne baare me khud soche,tab hazrat zainab ne ye nikah kiya magar hikmate khudawandi ki 1 saal me hi miya biwi ke darmiyan na ittefaqi huyi aur hazrate zaid ne unko talaaq de diya,baad iddat guzarne ke huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne hazrate zaid ko hi unke paas apne nikah ka paigham lekar bheja isliye taaki logon ko ilm ho jaaye ki ab zaid ke dil me hazrate zainab ke liye koi khwahish nahin hai to hazrate zainab ne ye kahkar rok diya ki main apne rub se mashwara kar loon tab jawab doongi phir aapne 2 rakat namaz padhi aur sajde me ye dua ki ki ai maula tera mahboob mujhse nikah ke khwahish mand hain agar main unke laayaq hoon to tu mera nikah unse karde to surah ahzaab ki ye aayat urti aur maula farmata hai ki
*KANZUL IMAAN* - Phir jab zaid ki garz usse nikal gayi to humne wo tumhare nikah me dedi
📕 Paara 22,surah ahzaab,aayat 37
* Is tarah huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ka ye nikah khud khuda ne arshe mualla par kar diya aur hazrat jibreel alaihissalam uske gawah hue
* Ye aapki foofi umaima bint abdul muttalib ki beti thin
* Aap 5 hijri me azwaaje mutahharat me daakhul huyin
* Aapka mahar 400 darham tha
* Aap is khushi me 2 mahine tak lagataar roze se rahin aur farmati hain ki mujhe deegar azwaaj se 3 fazilatein aisi mili hain jo kisi ko haasil nahin pahli ye ki mere aur huzoor ke jadd ek hain doosra ye ki mera nikah khud khuda ne aasman par kiya aur teesra ye ki hazrat jibreel uske gawaah hue
* Aapka wisaal 53 saal ki umr me 20 ya 21 hijri ko hua aur hazrate umar farooqe aazam raziyallahu taala anhu ne aapki namaze janaza padhayi aur jannatul baqi me aapko dafn kiya gaya
* Aapse 11 hadisein marwi hain jinme se 2 bukhari wa muslim sharif me hai baaki ki 9 deegar kitabon me
📕 Khazayenul irfan,safah 502
📕 Seeratul mustafa,safah 536
📕 Madarejun nubuwat,jild 2,safah 817
*===============================*
Post a Comment