हज़रत सय्यदना इमाम जाफर सादिक़ रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ।। Hazrat Sayyadna Imam Jafar Sadiq Radiyallahu ta'ala anhu


*हज़रत सय्यदना इमाम जाफर सादिक़ रज़ियल्लाहु तआला अन्हु*

* आपकी पैदाइश 7 रबीउल अव्वल 80 हिजरी में मदीना शरीफ में हुई 

* आपका नाम जाफर और लक़ब सादिक़ है

* आपके वालिद का नाम हज़रत इमाम बाक़र रज़ियल्लाहु तआला अन्हु है जो कि हज़रत सय्यदना इमाम ज़ैनुल आबेदीन रज़ियल्लाहु तआला अन्हु के बेटे हैं और वालिदा का नाम उम्मे फरदह रज़ियल्लाहु तआला अन्हा है ये अमीरुल मोमेनीन सय्यदना अबू बक्र सिद्दीक़ रज़ियल्लाहु तआला अन्हु के बेटे हज़रते अब्दुर रहमान की बेटी हज़रते आसमा के साहबज़ादे हज़रते क़ासिम की बेटी हैं 

* आपकी 7 औलादें हुई जिसमे 6 बेटे और एक बेटी है

* आपके खुल्फये खास में हज़रते इमाम मूसा काज़िम हज़रते इमामे आज़म अबू हनीफा व हज़रत बायज़ीद बुस्तामी रिज़वानुल लाहि तआला अलैहिम अजमईन सरे फेहरिस्त हैं

* आप बहुत ही मुत्तक़ी और परहेज़गार थे हज़रते इमाम मालिक रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि मैं बहुत वक़्त उनके साथ रहा मगर हमेशा उनको इबादत ही करते पाये या तो वो नमाज़ में होते या क़ुर्आन पढ़ रहे होते या फिर रोज़े से होते

* एक दिन आप एक खूबसूरत जुब्बा पहने हुए बाज़ार से गुज़र रहे थे किसी ने आपसे कहा कि ये आले रसूल को ज़ेब नहीं देता कि इतना आली शान कपड़ा पहने तो आप उसे अपने कपड़े के अन्दर का जुब्बा दिखाया जो कि निहायत ही सख्त और खारदार था आप फरमाते हैं कि ये मेरे खुदा के लिए है और जो दिख रहा है वो तुम्हारे लिए है

* एक शख्स की दीनार की थैली खो गयी उसने आपको पहचाना नहीं और आप पर इलज़ाम लगा दिया, आप उसे अपने घर ले गए और पूछा कि उसमें कितने दीनार थे उसने कहा 1000 तो आपने उसे 1000 दीनार दे दिए और वो चला गया, दूसरे दिन उसकी गुम हुई थैली मिल गयी तो उसने आपके दीनार वापस करने चाहे तो आप फरमाते हैं कि अब ये तुम्हारा ही हुआ क्योंकि हम किसी को कुछ देकर वापस नहीं लेते, उसने जब लोगों से जब आपके बारे में दरयाफ्त किया तो तो पता चला कि आप आले रसूल हज़रत इमाम जाफर सादिक़ रज़ियल्लाहु तआला अन्हु हैं ये सुनकर वो अपने किये पर बहुत शर्मिंदा हुआ

* आपसे बेशुमार करामतें ज़ाहिर है चन्द तहरीर करता हूं

! जनाब अबू बशीर का बयान है कि मैं मदीना मुनव्वरा गया हुआ था,एक दिन मैंने अपनी कनीज़ से सोहबत की और गुस्ल के लिए जा ही रहा था कि लोगों का हुजूम एक तरफ जाते देखा मैं भी उसी तरफ चल दिया,तमाम लोग हज़रते इमाम जाफर सादिक़ की बारगाह में पहुंचकर उनकी ज़ियारत करने लगे मैं भी शामिल हो गया,जब हज़रत की नज़र मुझ पर पड़ी तो फरमाते हैं कि क्या तुम्हे पता नहीं कि नबी और नबी की आल की बारगाह में जनाबत की हालत में नहीं आते मैं ये सुनकर हैरान रह गया और फौरन तौबा की और आइंदा ऐसा ना करने का अहद किया

! एक शख्स को खलीफये मंसूर ने क़ैद कर दिया था आपने किसी से उसके बारे में दरयाफ्त किया तो बताया गया कि वो क़ैद में है,आप फरमाते हैं कि अभी एक घंटे में वो रिहा कर दिया जायेगा और फिर वैसा ही हुआ कि जैसा कि इमाम ने फरमाया था वो रिहा कर दिया गया

! एक मर्तबा खलीफये मंसूर ने आपको दरबार में बुलवाया और अपने सिपाहियों से कह दिया कि जैसे ही मैं इशारा करूं तुम लोग उनको क़त्ल कर देना,जब हज़रत सय्यदना इमाम जाफर सादिक़ रज़ियल्लाहु तआला अन्हु दरबार में हाज़िर हुए तो खलीफा भागता हुआ आपके पास खुद हाज़िर हुआ और आपको अदबो एहतेराम से बिठाया और कहा कि अगर आपको कुछ भी अर्ज़ हो तो कहें आप फरमाते हैं कि दोबारा मुझे दरबार में ना बुलाया जाए,ये कहकर आप चले गए मंसूर के सिपाही हैरानो शशदर थे कि आखिर माजरा क्या है उन लोगों ने खलीफा से पूछा तो कहने लगा कि जैसे ही इमाम दरबार में हाज़िर हुए मैंने देखा एक बहुत बड़ा अज़्दहा जिसने अपना मुंह फाड़कर मेरे पूरे महल को उसमे समां लिया और कहने लगा कि अगर ज़र्रा बराबर भी तूने इमाम को तकलीफ पहुंचाई तो मैं अभी इन सबको बर्बाद कर दूंगा,फिर जो हुआ वो तो तुम लोगों ने देख ही लिया 

* आपका विसाल 68 साल की उम्र में यानि 15 रजब 148 हिजरी जुमा के दिन हुआ

📕 मसालिकस सालेकीन,जिल्द 1,सफह 217--223
📕 शवाहिदुन नुबूवत,सफह 332
📕 तज़किरातुल औलिया,सफह 15-17

*===============================*
*===============================*

*Hazrat sayyadna imaam jaafer saadiq raziyallahu taala anhu*

* Aapki paidayish 7 rabiul awwal 80 hijri me madina sharif me huyi

* Aapka naam jaafar aur laqab saadiq hai

* Aapke waalid ka naam hazrat imaam baaqar raziyallahu taala anhu hai jo ki hazrat sayyadna imaam zainul aabedeen raziyallahu taala anhu ke bete hain aur waalida ka naam umme fardah raziyallahu taala anha hai ye amirul momeneen sayyadna abu bakr siddique raziyallahu taala anhu ke bete hazrate abdur rahman ki beti hazrate aasma ke saahab zaade hazrate qaasim ki beti hain

* Aapki 7 aulaadein huyi jisme 6 bete aur ek beti hai

* Aapke khulfaye khaas me hazrate imaam moosa kaazim hazrate imame aazam abu hanifa wa hazrat bayazeed bustaami rizwaanul laahe taala alaihim ajmayeen sare fehrist hain

* Aap bahut hi muttaqi aur pahezgar the hazrate imaam maalik raziyallahu taala anhu farmate hain ki main bahut waqt unke saath raha magar hamesha unko ibaadat hi karte paaya ya to wo namaz me hote ya quran padh rahe hote ya phir roze se hote

* Ek din aap ek khoobsurat jubba pahne hue baazar se guzar rahe the kisi ne aapse kaha ki ye aale rasool ko zeb nahin deta ki itna aali shaan kapda pahne to aapne use apne kapde ke andar ka jubba dikhaya jo ki nihayat hi sakht aur khaardar tha aap farmate hain ki ye mere khuda ke liye hai aur jo dikh raha hai wo tumhare liye hai

* Ek shakhs ki deenar ki thaili kho gayi usne aapko pahchana nahin aur aap par ilzaam laga diya, aap use apne ghar le gaye aur poochha ki usme kitne deenar the usne kaha 1000 to aapne use 1000 deenar de diye aue wo chala gaya, doosre din uski ghum huyi thaili mil gayi to usne aapke deenar waapas karne chahe to aap farmate hain ki ab ye tumhara hi hua kyunki hum kisi ko kuchh dekar waapas nahin lete, usne jab logon se jab aapke baare me daryaaft kiya to to pata chala ki aap aale rasool hazrat jaafer saadiq raziyallahu taala anhu hain ye sunkar wo apne kiye par bahut sharminda hua

Imam Jafar Sadiq se beshumar karamatein zaahir hai chand tahreer karta hoon

! Janabe abu baseer ka bayaan hai ki main madina munawwara gaya hua tha,ek din maine apni kaneez se sohbat ki aur gusl ke liye ja hi raha tha ki logon ka hujoom ek taraf jaate dekha main bhi usi taraf chal diya,tamam log hazrate imaam jaafer saadiq ki baargah me pahunchkar unki ziyarat karne lage main bhi shaamil ho gaya,jab hazrat ki nazar mujhpar padi to farmate hain ki kya tumhe pata nahin ki nabi aur nabi ki aal ki baargah me janabat ki haalat me nahin aate main ye sunkar hairan rah gaya aur fauran tauba ki aur aayinda aisa na karne ka ahad kiya

! Ek shakhs ko khalifaye mansoor ne qaid kar diya tha aapne kisi se uske baare me daryaaft kiya to bataya gaya ki wo qaid me hai,aap farmate hain ki abhi ek ghante me wo riha kar diya jayega aur phir waisa hi hua ki jaisa ki imaam ne farmaya tha wo riha kar diya gaya

! Ek martaba khalifaye mansoor ne aapko darbaar me bulawaya aur apne sipahiyon se kah diya ki jaise hi main ishara karun tum log unko qatl kar dena,jab hazrat sayyadna imaam jaafer saadiq raziyallahu taala anhu darbaar me haazir hue to khalifa bhaagta hua aapke paas khud haazir hua aur aapko adabo ehteraam se bithaya aur kaha ki agar aapko kuchh bhi arz ho to kahen aap farmate hain ki dobara mujhe apne darbaar me na bulaya jaaye,ye kahkar aap chale gaye mansoor ke sipaahi hairano shashdar the ki aakhir maajra kya hai un logon ne khalifa se poochha to kahne laga ki jaise hi imaam darbaar me haazir hue maine dekha ek bahut bada azdaha jisne apna munh phaadkar mere poore mahal ko usme sama liya aur kahne laga ki agar zarra barabar bhi toone imaam ko taqleef pahunchayi to main abhi in sabko barbaad kar doonga,phir jo hua wo to tum logon ne dekh hi liya

* Aapka wisaal 68 saal ki umr me yaani 15 rajab 148 hijri juma ke din hua

📕 Masalikas saalekeen,jild 1,safah 217-223
📕 Shawahidun nubuwat,safah 332
📕 Tazkiratul auliya,safah 15-17

No comments