QARZ ADA NA KARNA GUNAH E KABIRA HAI


QARZ ADA NA KARNA

Jo shakhs qarz ada na kare wo Faasiq, Faajir, Gunaah-e Kabeera ka gunahgaar, Zaalim, Bara Jhoota, aur sakht azaab ka haqdaar hai, agar yoo hi margaya to uski nekiya haqdaar ko de di jaayengi, taqreeban 3-3 paisa ke badle 700-700 ba jamaa'at namazein, jab nekiya na rahengi to haqdaar ke gunah iske upar daal diye jaayenge aur Jahannam ki aag me phaynk diya jaayega. aur Allah Ta'aala Huqooqul ibaad (bando ke huqooq) mu'af nahi farmata jabtak bande mu'af na karein.

Fataawa Razwiya: 25/69


Jo kisi ka maal ada karne ki niyat se le to Allah usko ada kare.

Fataawa Razwiya: 25/63


Jhoota wa'da karna/wa'de ko jhoota karna haraam hai. Munaafiq ki 3 nishaaniya hain. 1. Jab baat kare jhoot kahe. 2. Jab wa'da kare khilaf kare. aur 3. Jab usko amaanat sonpi jaaye khiyaanat (treachery) kare.

Bukhaari sharif/Fataawa Razwiya: 25/69

No comments