Momineen ki ek Jama'at Qiyamat tak Deen e Haq par Qaaim Rahegi

Momineen ki ek Jama'at Qiyamat tak Deen e Haq par Qaaim Rahegi

عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ :    لَا يَزَالُ نَاسٌ مِنْ أُمَّتِي ظَاهِرِينَ حَتَّى يَأْتِيَهُمْ أَمْرُ اللَّهِ وَهُمْ ظَاهِرُونَ.

Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya:

Meri ummat ke kuch log hamesha ghalib rahenge hattha ke Allah ﷻ ka hukm (qiyamat) ajayega aur wo is waqt bhi ghalib honge.

📚Sahih Bukhari # 3640. 


Momineen ki ek jama'at Qiyamat tak Deen e Haq par Qaaim Rahegi

أَنَّهُ سَمِعَ مُعَاوِيَةَ ، يَقُولُ : سَمِعْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، يَقُولُ :    لَا يَزَالُ مِنْ أُمَّتِي أُمَّةٌ قَائِمَةٌ بِأَمْرِ اللَّهِ لَا يَضُرُّهُمْ مَنْ خَذَلَهُمْ ، وَلَا مَنْ خَالَفَهُمْ حَتَّى يَأْتِيَهُمْ أَمْرُ اللَّهِ وَهُمْ عَلَى ذَلِكَ.    

Hazrat Muavia رضی اللہ عنہ se riwayat hai:

🔸Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya

Meri ummat me ek groh hamesha Allah ke Deen aur is ke ahkam par qaaim rahega , jo inko ruswa karna chahega ya in ki mukhalifat karna chahega wo in ko koi nuqsan nahi pahuncha sakega hattha ke qiyamat ajayegi aur wo isi deen aur isi shariat par qaaim honge.

📚Sahih Bukhari #3641.

No comments