Apne Ghar Valo Se Jyada Nabi E Kareem ke Ahle Bait ka lihaz karna zaroori hai
Apne ahle bait se badhkar Nabi k Ahle Bait ka lihaz karna zaroori hai :
HADEES: Hazrat Syeduna Abu Baqr siddiq farmate hain Allah Taala ki qasam , mujhe Rasoolullah صلى الله عليه وسلم k AHLE BAIT se husne sulook karna apne ghar walon k husne sulook se kahin ziyada pyara hai.
(REFERENCE: Bukhari shareef )
EXPLANATION:
Is hadees ye pata chala k
1. _Ambia k bad sabse Afzal insan hazrat syeduna Abu baqr siddeq_ apne ghar walon se ziyada nabi k ghar walon ka lihaz karte the.
2. Hame bhi chahiye k ham kisi bhi martabe par fayiz hojayen , magar phir bhi Nabi e pak ki ahle bait ka lihaz rakhen , q k hamara badhawa janabe Abu baqr se ziyada to hargiz nahi ho sakta.
NOTE:
Ahle bait ka lagwi maana (ghar wale / khandan wale).
Ahle Bait ka sharyi maana Huzoor صلى الله عليه وسلم ki azwaj (beewiyan) , bete , betian , khaskar hazrat Syeda Fatima zahra ki auladen.
Post a Comment