NABI ﷺ ke Roza e anwar pe jake dua Karna kaisa hai


HADEES: NABI ﷺ ke Roza e anwar pe jake dua Karna:

Hazrat Umar raziAllahu anhu ke zamane me log qahat sali (droughts) me mubtela hogaye to ek shaks (Bilal bin haris raziAllahu anhu) *Rozae Rasool sallallahu alaihi wa sallam* par hazir hue aur arz kiye 

Ya Rasoolullah ﷺ sallallahu alaihi wa sallam!* Aapki ummat halak horahi, aap uske liye *Barish ki dua farmaye*, us sahabi ko khwab me kaha gaya ke Umar ko jakar salam kaho aur unhe batao ke tumhe barish ata ki jayegi aur ye bi kaho ke (umoor khilafat ada karney me) bedaar maghzi (hoshyari, clearheaded) se kaam lo. Us sahabi ne hazrat Umar raziAllahu anhu ko ittela di tho *aap ro parhe* aur arz kiya aye mere Rab! Jaha tak mujhse hosakta hai mai usme kotayi (kami) nahi karta.

(📚Musannaf ibn abi shaiba hadees-12051)*

Hafiz Ibne hajar asqalani ne iski sanad ko *"sahih"* qarar diya

*و روی ابن ابی شیبۃ بی اسناد صحیح*

(📚Fathul Bari Sharah Sahih Bukhari jild-2)*

No comments