Jis Shakhs ki Raat Ko Aankh Khule Fir Wo Namaz Padhe Iski Fazeelat
Jis shakhs ki raat ko aankh khule phir wo namaz padhe is ki fazeelat:
HADEES: Hazrat Sayyiduna Ubada bin Samit رضی اللہ عنہ se riwayat hai ke Huzoor e Pak ﷺ ne Farmaya jis ne neend se bedar ho kar kaha:
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ، الْحَمْدُ لِلَّهِ وَسُبْحَانَ اللَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ، ثُمَّ قَالَ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي أَوْ دَعَا اسْتُجِيبَ لَهُ ، فَإِنْ تَوَضَّأَ وَصَلَّى قُبِلَتْ صَلَاتُهُ.
Tarjuma: Allah ﷻ ke siwa koi ma'bood nahi wo tanha hai is ka koi shareek nahi, isi ki baadshahi hai aur isi ki khoobiyan aur wo har cheez par Qudrat rakhta hai Allah عزوجل Pak hai aur Allah عزوجل khoobiyan wala hai aur Allah عزوجل ke siwa koi ma'bood nahi aur Allah عزوجل sab se bada hai aur gunah se bachne ki quwwat aur neki karne ki taqat Allah عزوجل ki taraf se haasil hoti hai, phir "Allahummaghfirli" kaha ya koi Dua maangi to ise qubool karliya jayega , phir agar wuzu kiya aur namaz padhi to is ki namaz qubool karli jayegi.
📚 Sahih Bukhari # 1154.
Post a Comment