हदीस : मुफलिस गरीब कौन हैं ?(MUFLIS (POOR) KAUN?

MUFLIS (POOR) KAUN?:

Hazrat Abu huraira raziAllahu anhu se riwayat hai. NABI sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya

Kya tum jantey ho ke muflis (poor) kaun hai?

Sahaba ne arz kiya Ya Rasoolullah alaihis salam! Hamare nazdik muflis wo shaks hai jiske paas na toh dinaar (paisa) ho na hi dirham (wealth). NABI sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya aisa nahi hai, balke muflis tho wo hai jo qayamat ke din namaz, roza, zakat aur sadqaat lekar ayega lekin usney kisiko gaali di hogi, kisi par bohtan (false accusation) lagaya hoga, kisi ka maal daba liya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga. Tho iski nekiya un log ko de di jayegi, phir ek shaks ayega tho usey bi iski nekiya di jayegi. Yaha tak ke logo ke huqooq ada karney se pahle iski nekiya khatam hojayegi. Phir  unlog ke gunah ispar dala jayenga yaha tak ke wo jahannum me phenk diya jayega.

(📚Sahih Muslim hadees no-2581)

Allahuakbar! ALLAH hame isse bachaye AMEEN...

No comments