हदीस शरीफ़ : दोस्ती किन लोगों से करनी चाहिए (Dosti Kin Logo Se Karni Chahiye

Achi Buri Dosti ka Deen Par Effect

HADEES: Huzoor صلى الله عليه وسلم ne farmaya Aadmi apne dost k Deen par hota hai, Lihaza tumhe ye janlena Chahiye k tum kisse dosti Kar rahe ho 

(REFERENCE: 

Tirmizi - 2378,

Abu Dawood - 4833,

Bustanul aarifeen - Fiqhi Abul Lais samarqandi )

EXPLANATION:

Is hadees se pata Chala

1. Dosti Ka Asar hota hai.

2. Agar dost deendar hai to tumpar bhi deendari ka Asar hoga. 

3. Agar dost Sharabi, bad Amal, Fasiq o Fajir hai ya phir badmazhab, Gumrah, Kafir hai to iska bhi tumpar Asar hosakta hai. 

NOTE: Musalman kehlane wale kaiyo log Aise bhi Hain jo Diwali, Puja-path, church  Aur mandir ki darshan karte Nazar aate Hain. Dar asl unpar ye Gairon se dosti ka Asr hai, Lihaza Deendar dost banao 

Allah Taala hame imaan par jilaye Aur Imaan k sath uthaye ... Aameen

No comments