बगैर इल्म के फतवा देने से बचे (Bagair Ilm Ke Fatwe Dene Se Bacha Karo
Bagair Ilm Ke Fatwe Dene Se Bacha Karo :
Jisko Bagair Ilm Fatwa Diya Gaya Ho Uska Gunaah Uss Fatwa Denewale Par Hai Aur Jisne Apne Bhai Ko Mashwara Diya Aur Yeh Jaanta Hai Ki Bhalai Uske Gair Me Hai Usne Khyanat Ki.
(Abu Dawood/ Islami Akhlaq O Aadab, Page No.294)
Sabaq: Lihaja Bagair Ilm Ke Fatwa Dene Se Bacha Karo, Warna Mumkin Hai Ke La’ilmi Me Fatwa Dene Wala Hi Gunaahgar Ho Jaye. Aur Yeh Jante Hue Ke Uska Apne Bhai Ko Diya Hua Mashwara Uske Bhai Ke Bhalai Ke Khilaf Hoga Tou Goyaa Aisa Hai Ke Mashwara Dene Wale Ne Apne Bhai Ki Bhalayi Me Khayanat Ki.
Lalachi Shakhs Ke Paas Amanat Mehfooz Nahi Ho Sakti :
Imaam Abu Hanifa (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai, Mere Nazdeek Kisi Bakheel(Kanjus) Ko Adal Qarar Dena Durust Nahi. Kyu Ke Iss Se Lalach Ubharta Hai Nateejah Woh Nuqsaan Ke Khauf Se Apne Haq Se Ziyada Le Leta Hai, Lehaza Jis Shakhs Me Bukhul(Kanjusi) Ki Sifat Paai Jati Hai Uss Ke Paas Amanat Mehfooz Nahi Ho Sakhti.
(Ahya Uloom, Kitab Zam Hubul Maal, Biyan Zam Bukhl, Vol.3, Page:342)
Post a Comment