अपने लीडर में कोई गलती नज़र आए तो क्या करें (Apne Sardar me koi Galti nazar aaye to kya karen)

Apne Sardar me koi Galti nazar aaye to kya karen

HADEES: Huzoor صلى الله عليه وسلم ne farmaya Jo apne sardar me koi bura kaam dekhe to Woh sabr kare(aur usse door na hojaye), q k Jo Jamat se ek balisht bhi door hojaye Aur usi Haalat me marjaye to Woh jihalat ki mout mara 

(Bukhari Sharif - 7143, muslim, Musnad imam Ahmed,Tabrani, darmi)

EXPLANATION:

Is Hadees se pata Chala k jab Apne Qoum k sardar se Galti hojaye to 

Usse katkar Alag na hojana,

balke Uske Galti par sabr Karna

Aur Jo talluqat khatam karke Alag hojaye to Woh Gunahgar Hoga,

Aur agar woh usi latalluqi me margaya to jihalat(bagawat, rebel) ki mout mara. 

Note:

Aaj kal Olma aur peer bhi sardar k jumre me aate hain. Lihaza zarri zarri baat me unki mukhtalifat na Kar baithen.

No comments