जानिए ! जंगे बद्र कब और कहां हुई (Jung E Badr ki full details)

JUNG E BADR:


*Tarikh:* 17 Ramazan, 2 hijri


*Maqaam:* Maidane Badr, Jo ki Madina se 80miles (130km) door ek jagah hai.


*Tadad:* Musalman 313 jisme 80 muhaajir aur 233 Ansaar sahaba the. Jabke kuffar ke lashkar me taqriban 1000 kafir the.


⏹BADR Madina paak se taqriban 80miles faasle par ek gau ka naam hai jaha zamanae jahilat me mela lagta tha, Yaha ek Kuwa bi tha jiske malik ka naam "Badr bin amir" tha. Uske naam par us jagah ka naam Badr rakha gaya.


Yahi par 17 Ramazan 2 hijri ko Musalman aur kuffare Quraish ke bich jung hui jisme Musalmano ki azeem fateh hui.. is hi jung me farishto ke zariye ALLAH Ne sahabae kiram ki madad farmayi.


Quran pak me irshade Bari ta'ala hai


*"Aur beshak ALLAH ne badr me tumhari madad ki, jab tum bilkul be saro saman the, toh ALLAH se darte raho thake tum shukr guzaar banjao".*

*(📚Sureh Al Imran ayat-123)*


*🔸Junge Badr Ka sabab:*


Amr bin hadhrami ka qatal tha jisse kuffare quraish me ghussa aur badle ki aag me musalmano se badla lena tha jo agey chalkar Junge Badr ke rup me hua. Junge badr me 14 Musalman shaheed hue aur 70 kuffar qatl hue,70 qaid kiye gaye.


*⏹SHOHDA E BADR:*


Junge badr me kul 14 musalman shaheed hue jinme 6 muhaajir aur 8 Ansaar sahabae kiraam the, inme 13 shohada ki Mazaar maidane badr me hai aur ek sahabi ki Hzt Ubaida bin Haris badr se wapsi par wafat payi, unki mazar safra me hai.


*⏹NAMES OF SHOHADA E BADR:*


1. Hzt. Haris bin suraqa raziAllahu anhu


2. Hzt. Dhush Shimaalayn ibn Abdi Amr raziAllahu anhu


3. Hzt Rafi bin al mu'alla raziAllahu anhu


4. Hzt. Sa'ad bin khaythama raziAllahu anhu


5. Hzt. Safwan bin wahab raziAllahu anhu


6. Hzt. Aaqil bin al-bukayr raziAllahu anhu


7. Hzt. Ubaida bin haris raziAllahu anhu


8. Hzt. Umayr bin al humam raziAllahu anhu


9. Hzt. Umayr bin abi waqqas raziAllahu anhu


10. Hzt. Awf bin al harith raziAllahu anhu


11. Hzt. Mubashshir bin abdi'l mundhir raziAllahu anhu


12. Hzt. Mu'awwidh bin al harith raziAllahu anhu


13. Hzt. Mihja bin salih raziAllahu anhu


14. Hzt. Yazid bin al harith raziAllahu anhu.


*(📚Akhz Seeratul Mustafa)*

----------------------------------------------------


*3 bar sureh ikhlaas padkar inhe esale sawab kijie..*


ALLAH paak ki in shohadae badr par rahmat ho aur inke sadqe me hamari maghfirath ho. Ameen

No comments