हदीस शरीफ़ : चांद देखकर रोज़ा रखो (Chand dekh Kar Roza Rakho)



Chand dekh Kar Roza Rakho

HADEES: Huzoor ﷺ Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:

 "Chand Dekh Kar Roza Rakho Aur Chand Dekh Kar Roze khatam karo. Agar Abar(badal) o gubaar(dhool) ki wajah se Chand Nazar na Aaye toh Mahine ke 30 din poore Karlo".

📚Sahih Bukhari-1906,

📚Sahih Muslim-2498.

Is hadees se pata Chala

1. Chand Dekhkar Roze shuru Aur khatam Karna hai.. *❗Na ke Saudi ke hisab se hame follow karna hai.

2. Agar 29 tareekh ko Chand Nazar na aaye toh mahina Ka 30wa din bhi poora Karo.

NOTE:

Yaad rahe islami mahina yaa toh 29 Roz ka yaa phir 30 Roz ka hota hai, 30we din bhi chand nazar na aye ya ajaye ab maney nahi rakhta, agla din 1pahli tareekh shumar hogi, upar ke hadees Ka Hukm 29 Dino par hai_

1 comment: