जानिये ! तरावीह की नमाज़ 20 रकअत है या 8 रकअत (NAMAZ E TARAWEEH KA MASLA)



TARAWIH KI NAMAZ KA TARIKA :
Taraweeh ki namaz 20 rakat aur 3 rakat witr hai.. 2,2 rakat karke ada farmaye.
har 4 rakat padkar 1,2mint baitkar zikr kare phir continue kare.


TARAWIH KI NAMAZ 20 RAK'AT HAI :
Waise to bahut saare logon ki ab tak khatme quran banaam taravih khatm bhi ho chuki hogi aur unhein masjid jaane se aazaadi bhi mil chuki hogi magar dar haqiqat taravih ramzan ka chaand dekhkar shuru karni hoti hai aur eid ka chaand dekhkar khatm,
taravih mardo aurat dono ke liye sunnate muaqqida hai aur chaaro imaamo ke nazdeek 20 rakat hai,bukhari sharif ki jis 11 rakat ki riwayat ko gair muqalledin 8 rakat taravih ke liye pesh karta hai wo dar asal taravih nahin balki 8 rakat tahajjud aur 3 rakat witr hai aur huzoor sallallaho taala alaihi wasallam se ye 11 rakatein poori zindagi saabit hai kyunki aap par tahajjud bhi farz thi,jaisa ki ummul momeneen sayyadna aaisha siddiqa raziyallahu taala anha farmati hain ki.

HADEES – Rasool ALLAH sallallaho taala alaihi wasallam ramzan aur gair ramzan me 11 rakat se zyada ada nahin farmate the
 Bukhari,jild 1,safah 154
 Muslim,jild 1,safah 254


Is hadeese paak se saaf zaahir hota hai ki agar ye 8 rakat taravih ki padhi ja rahi thi to gair ramzan me taravih to hai nahin phir kyun huzoor sallallaho taala alaihi wasallam gair ramzan me bhi 8 rakat taravih padh rahe hain to maanna padega ki ye 8 rakat taravih nahin balki tahajjud ki 8 rakatein hain aur 3 rakat witr,fuqha farmate hain ki witr wajibul lail yaani raat ki namaz hai to agar kisi ko raat me uthne ka yaqeen ho to witr raat me padhne ke liye muakkhar kar de,to jab huzoor sallallaho taala alaihi wasallam par tahajjud farz thi aur aapko use sokar uthkar padhna hi tha to isliye aap hamesha isha ke baad aur ramzan me taravih ke baad witr chhod dete the aur jab raat ko tahajjud padh lete tab witr padhte yahi raajeh qaul hai,kaseer sahaba ikram jinme hazrate umar farooqe aazam hazrate maula ali hazrate imaam hasan hazrat abdullah ibne abbas hazrate ka’ab hazrate yazeed bin rooman hazrat saayab bin yazeed rizwanullahe taala alaihim ajmayeen se yahi marwi hai ki huzoor sallallaho taala alaihi wasallam wa tamam sahaba 20 rakat taravih hi padhte the,20 rakat taravih ki daleel in hadees ki kitabon me maujood hai.



 Jaame tirmizi,jild 1,safah 139
 Abu daood,jild 1,safah 202
 Ibne abi shaiba,jild 2,safah 393
 Sunan kubra,jild 2,safah 496
 Zajajatul masabih,jild 2,safah 307
 Abdur razzaq,jild 4,safah 261
 Tibraani,jild 1,safah 243


👉 शुगर की बीमारी (Diebetes) का रूहानी इलाज (The Power Of Quran Sharif)

👉 जानिये ! इस्लाम में दाढ़ी क्यों रखी जाती है ? (Beard Its Sunnah)


👉 तलाक किसे कहते है, त़लाक़ और हलाला का शरई़ ह़ुक्म .


Imam Tirmizi ne apni sunan me farmaya:

🔸Aksar ahle ilm ka mazhab 20rakat taraweeh hai jo ke hzrt Ali, Umar raziALLAH digar sahabe kiraam se marwi hai,
Imam shafai ne farmaya mai apne shaher makka me (ahle ilm) ko 20 rakat padte paya.

📚Tirmzi fi sunan hadees- 806

🔸Hzt yazeed bin Ruman RaziALLAHU anhu ne bayan kia hazrat Umar RaziALLAHU anhu ke daur me 23 rakat (20 taraweeh,3witar) namaz ada farmate.

📚Muwatta imam malik hadees-252
📚Baihaqi fi sunan al kubra 4394.

TARAWIH KI NAMAZ JAMAT SE PADHNA KB SHURU HUI :
Haan jamaat se taravih padhna huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ya abu bakr siddiq raziyallahu taala anhu ke zamane me nahin tha balki iski shuruwat khalifaye doum hazrate sayyadna umar faarooqe aazam raziyallahu taala anhu ke daur me aapki ijazat se huyi,waaqiya ye hua ki.
HADEES – Ek roz aap ramzan sharif me aap masjid tashrif le gaye jahan log alag alag tanha apni apni namaze taravih padh rahe the aapne unhein dekhkar farmaya ki main munasib samajhta hoon ki in sabko muttahid kar doon aur phir hazrate abi bin ka’ab ko imaam banakar jamaat se taravih padhne ka hukm diya aur jamaat se unhein padhte dekhkar farmaya ki NE’MATIL BID’ATU HAAZIHI yaani kitni achchhi bid’at hai.
 Bukhari,hadees 2010
 Mirkaat,jild 1,safah 179


Aur pichhle 1400 saalon se musalmano ka amal bhi isi par raha jo ki 20 rakat taravih ke haq hone ki daleel hai ek baat aur har naya kaam yaani ki har bid’at gumrahi hai ka ratta maarne waale log hazrate umar farooqe aazam raziyallahu taala anhu ka qaul dekhen ki aap khud farma rahe hain ki kitni achchhi bid’at hai maloom hua ki har bid’at gumrahi nahin aur huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ka ye farmana ki har bid’at gumrahi hai isse muraad ye hai ki jo naya kaam shariyat ke khilaf hoga wo gumrahi hoga aur jo naya kaam shariyat ki mukhalifat na kare to hargiz wo gumrahi nahin.

1 comment:

  1. Witr ki namaz tarawih se pehle ada krli to ho jayegi ya nhi

    ReplyDelete