जानिए ! रोज़े की हालत में Oil, Surma, Vicks Or Scent लगाना कैसा है ?




▶ROZE ME OIL YA SURMA LAGANA KAISA HAI.

Surma lagaya ya Sar me tail dala tab bhi roza nahi jayega.

(📚Bahare Shariat jild-1)



▶ROZE ME ATAR (Scent) LAGANA:

Roze Ki Halat Me Har Qism Ki Itar Soong Bi Sakte Hai Aur Kapdo Par Laga Bi Sakte Hai.

(📚Durre Mukhtar Jild-3)

❌Islami Bahene Itni Khushbu Lagana Ke Ghair Mard Tak Uski Khushbu Jaye Najaiz aur gunah Hai❌.

▶HADEES:🔸Aurat aisi khushbu lagaye ke ghair mard tak uski khushbu pahunche tho wo zaaniya (haram relation rakhne wali) hai.

(📚Nisai shareef)


▶ROZE ME VICKS YA OINTMENT LAGANA:

Vicks ek qism ka chemical hota hai, agar usey naak ke andar lagaye tho uske ajza(small particles) pet ke andar chale jate hai jisse roza toot jayega.

Agar aisi vicks jo sar dard ki surat me peshani ke upar lagayi jati hai ye jaiz hai isse roza nahi jayega.

Yaad rahe vicks naak ke andar na lagaye.

(📚Tafheemul Masail, Jild-1, Page-191)



▶ROZE ME BACHCHO KO DOODH PILANA:

Roza sirf jism me koi chiz dakhil hone se toot jata hai, doodh pilane se jism me koi chiz nahi gayi, lehaza aurtein apne chote bachcho (2 saal umar tak pilane ki ijazat hai usse ziada umar me najaiz hai) ko roze ki halat me doodh pila sakti hai.

(📚Tafheemul Masail Jild-6, page-204)

No comments