हज़ार महीनो से बेहतर रात जिसमे हज़रत जिब्राईल अलैहिस्सलाम फिरिश्तो के साथ उतरते और दुआ ए अस्तग़फ़ार करते है (Shabe Qadr Hazaar Maheeno Se Behtar Ek Raat)




Hazaar Maheeno Se Behtar Ek Raat

➤ Hazrat Mujahid رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُ Se Marwi Hai:

Ki Nabi-e-Kareem  صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ Ne Bani Israail Ke Ek Shakhs Ka Zikr Farmaya Jisne Ek Hazaar Maheene Raahe Khuda عَزَّوَجَلَّ Mein Jihaad Kiya, Musalmano Ko Is Se Ta'azzub Huwa To Allah Ta'ala Ne Yeh Aayat Naazil Farmayi  :
’’ اِنَّاۤ اَنْزَلْنٰهُ فِیْ لَیْلَةِ الْقَدْرِ ۖ(۱) وَ مَاۤ اَدْرٰىكَ مَا لَیْلَةُ الْقَدْرِؕ(۲) لَیْلَةُ الْقَدْرِ ﳔ خَیْرٌ مِّنْ اَلْفِ شَهْرٍ ‘‘

➤Tarjama-e-Kanzul Irfan : 

Beshak Hamne Is Quraan Ko Shabe Qadr Mein Naazil Kiya. Aur Tujhe Kya Maalum Shabe Qadr Kya He ? Shabe Qadr Hazaar Maheeno Se Behtar He.

( سنن الکبری للبیہقی، کتاب الصیام، باب فضل لیلۃ القدر، ۴ / ۵۰۵، الحدیث: ۸۵۲۲)

➤ Hazrat Anas Bin Maalik رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُ Se Riwayat He,

Rasoole Kareem صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ Ne Irshad Farmaya "Allah Ta'ala Ne Meri Ummat Ko Shabe Qadr Ka Tohfa Ata Farmaya Aur Un Se Pahle Aur Kisi Ko Yeh Raat Ata Nahi Farmayi.

( مسند فردوس، باب الالف، ۱ / ۱۷۳، الحدیث: ۶۴۷)

➤ Mufti Naeemuddeen Muradabaadi رَحْمَۃُاللّٰہِ تَعَالٰی عَلَیْہِ Farmate He:

"Yeh Allah Ta'ala Ka Apne Habeeb صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَ اٰلِہٖ وَسَلَّمَ Par Karam He Ki Aap صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ Ke Ummati Shabe Qadr Ki Ek Raat Mein Ibaadat Kare To Unka Sawaab Pichhli Ummat Ke Hazaar Maah Ibaadaat Karne Walo Se Ziyada Ho.

(خزائن العرفان، القدر، تحت الآیۃ: ۳، ص۱۱۱۳)

➤ Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi رَحْمَۃُاللّٰہِ تَعَالٰی عَلَیْہِ Farmate He:

"Is Aayat Se Do Faaide Haasil Huwe Ek Yeh Ki Buzurg Chizo Se Nisbat Badi Mufeed He, Ki Shabe Qadr Ki Fazeelat Quraan Ki Nisbat Se He, As'haabe Kaif Ke Us Kutte Ko Un Buzurgo Se Mansoob Ho Kar Daaimi Zindagi, Izzat Naseeb Huyi, Dusra Yeh Ki Tamaam Aasmani Kitabo Se Quraan Shareef Afzal He Kyunki Taurat Wa Inzil Ki Taarikhe Nuzool Ko Yeh Azmat Na Mili.

( نور العرفان، القدر، تحت الآیۃ: ۳، ص۹۹۰)

Faizaane Shabe Qadr

➤ Shabe Qadr Me Firishte Aur Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Istigfaar Karte He:

ALLAH TA'ALA Irshaad Farmata He :

تَنَزَّلُ الْمَلٰٓىٕكَةُ وَ الرُّوْحُ فِیْهَا
"Is Raat Mein Firishte Aur Jibreel عَلَیْہِ السَّلَام Utarte He"

(Surat-ul-Qadr Aayat-4)

Shabe Qadr Ki Dusri Fazeelat Yeh He Ki Is Raat Mein Firishte Aur Hazrat Jibreel عَلَیْہِ السَّلَام Apne Rab عَزَّوَجَلَّ Ke Hukm Se Har Us Kaam Ke Liye Jo Allah Ta'ala Ne Is Saal Ke Liye Mukarrar Farmaya He Aasman Se Zameen Ki Taraf Utarte He Aur Jo Bandah Khada Ya Betha ALLAH TA'ALA Ki Yaad Mein Mashgool Hota He Use Salaam Karte He Aur Uske Liye Du'aa-e-Istigfaar Karte He

(خازن، القدر، تحت الآیۃ: ۴، ۴ / ۳۹۷-۳۹۸ملتقطاً)

➤ Hazrat Anas رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُ Se Riwayat He, Rasoolullaah صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ Ne Irshad Farmaya "Jab Shabe Qadr Hoti He Hazrat Jibreel عَلَیْہِ السَّلَام Firishto Ki Jama'at Mein Utarte He Aur Har Us Khade Bethe Bande Ko Duaaein Dete He Jo Allah Ta'ala Ka Zikr Kar Raha Ho".

(شعب الایمان، الباب الثالث والعشرون من شعب الایمان...  الخ، فی لیلۃ العید و یومہا، ۳ / ۳۴۳، الحدیث: ۳۷۱۷)

No comments