शबे क़द्र की फ़ज़ीलत और शबे क़द्र में पढ़ने वाली नमाज़ का तरीका (Shabe Qadr Ki Fazilat Aur Shabe Qadr Me Padhne Wali Namaz Ka Tarika)
Faizaan E Shabe Qadr
1️⃣ Shabe Qadr Saal me Ek Baar Aati Hai:
Yaad Rahe Ki Saal Bhar Mein Shabe Qadr Ek Martaba Aati He Aur Kaseer Riwaayaat Se Saabit He Ki Wah Ramzanul Mubarak Ke Aakhri Ashrah Mein Hoti He Aur Aksar Is Ki Bhi Taak Raato Mein Se Kisi Ek Raat Mein Hoti He. Baa'z Ulma Ke Nazdik 27th (Sattawiswi) Raat Shabe Qadr Hoti He Aur Yehi Imaame Aa'zam رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُ Se Marwi He.
(تفسير مدارک, القدر, تحت الآیۃ: ۱، ص ١٣٦۴)
2⃣ Shabe Qadr Ko Shabe Qadr Kyu Kaha Gaya ?
Allah Ta'ala Irshad Farmata He :
اِنَّاۤ اَنْزَلْنٰهُ فِیْ لَیْلَةِ الْقَدْرِۚۖ
Quran Sharif: "Beshak Hamne Is Quraan Ko Shabe Qadr Mein Naazil Kiya"
(Surat-ul-Qadr Aayat 1)
Isi Aayat Ke Tahat "Tafseere Khazin" Mein Imaam Al Khazin علیہ الرحمہ Likhte Hai....
"Shabe Qadr Sharf Wa Barkat Wali Raat He, Is Ko Shabe Qadr Is Liye Kahte He Ki Is Shab (Raat) Mein Saal Bhar Ke Ahkaam Naafiz Kiye Jate He Aur Firishto Ko Saal Bhar Ke Kaamo Aur Khidmaat Par Maamur Kiya Jata He Aur Yeh Bhi Kaha Gaya He Ki Is Raat Ki Digar Raato Par Sharafat Wa Qadr Ke Baais Is Shab Ko "Shabe Qadr" Kahte He Aur Yeh Bhi Manqool He Ki Chunki Is Shab Mein Nek Aamaal Maqbool Hote He Aur Bargaahe Ilaahi Mein Unki Qadr Ki Jati He Is Liye Is Ko "Shabe Qadr" Kahte He."
(Khazin, Al-Qadr, Tahat Al-Aayat 1, 4/395)
3⃣ Shab E Qadr Ki Fazilat A hadees ki Roshni me :
HADEES: Hazrat Abu Huraira رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُ Se Riwayat He, Rasoolullah صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ Ne Irshad Farmaya "Jis Ne Is Raat Mein Imaan Aur Ikhlaash Ke Sath Shabe Bedaari (Raat Jaag kar) Ke Ibaadat Ki To Allah Ta'ala Uske Saabiqa (Shagair) Gunaah Bakhsh Deta He."
(بخاری، کتاب الایمان، باب قیام لیلۃ القدر من الایمان، ۱ / ۲۵، الحدیث: ۳۵)
(بخاری، کتاب الایمان، باب قیام لیلۃ القدر من الایمان، ۱ / ۲۵، الحدیث: ۳۵)
HADEES: Hazrat Anas Bin Maalik رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُ Se Riwayat He Ki Ramzan Ka Maheena Aaya To Huzoor Purnoor صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ Ne Irshad Farmaya : "Beshak Tumhare Paas Yeh Maheena Aaya He Aur Is Mein Ek Raat Aesi He Jo Hazaar Maheeno Se Behtar He, Jo Shakhs Is Raat Se Mehroom Rah Gaya Woh Tamaam Nekiyo Se Mehroom Raha Aur Mehroom Wahi Rahega Jiski Qismat Mein Mehroomi He."
( ابن ماجہ، کتاب الصیام، باب ما جاء فی فضل شہر رمضان، ۲ / ۲۹۸، الحدیث: ۱۶۴۴)
Lihaza Har Musalman Ko Chahiye Ki Yeh Raat Ibaadat Mein Guzare Aur Is Raat Mein Kasrat Se Istigfaar Kare, Jaisa Ki...
Hazrat Aaisha Siddiqa رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہَا Farmati He :
Meine Arz Ki : Ya Rasoolullah صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ, Agar Mujhe Maalum Ho Jaye Ki Laylat-ul-Qadr Konsi Raat He To Is Raat Mein Me Kya Kahun ?
Meine Arz Ki : Ya Rasoolullah صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہ وَ سَلَّمَ, Agar Mujhe Maalum Ho Jaye Ki Laylat-ul-Qadr Konsi Raat He To Is Raat Mein Me Kya Kahun ?
Irshad Farmaya : Tum Kaho اَللّٰہُمَّ اِنَّکَ عَفُوٌّ کَرِیمٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّیْ‘‘ "Aey Allah ! Beshak Tu Muaaf Farmane Wala, Karam Karne Wala He, Tu Muaaf Karne Ko Pasand Farmata He, Tu Mere Gunaaho Ko Bhi Muaaf Farma De"
( ترمذی، کتاب الدعوات، ۸۴-باب، ۵ / ۳۰۶، الحدیث: ۳۵۲۴)
( ترمذی، کتاب الدعوات، ۸۴-باب، ۵ / ۳۰۶، الحدیث: ۳۵۲۴)
Niz Aap رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہَا Farmati He : "Agar Mujhe Yeh Maalum Ho Jaye Ki Konsi Raat Laylat-ul-Qadr He To Mein Is Raat Mein Yeh Du'aa Ba-Kasrat Maangu Gi "Aey Allah Mein Tujh Se Maghfirat Aur Aafiyyat Ka Suwaal Karti Hu".
( مصنف ابن ابی شیبہ، کتاب الدعاء، الدعاء با العافیۃ، ۷ / ۲۷، الحدیث: ۸)
4️⃣ Ramazan ki har taaq raat me kasrat se namaz aur duae kijie ke bahot fazilat hai
Pyare NABI sallallahu alaihi wa sallam ye dua kasrat se padte the.
*"Allahumma innaka afuwwun tuhibbul afwa fa'fu anni"*
(aye ALLAH tu muaf farmane wala hai, muafi ko pasand karta hai lehaza mujhe muaf farma)
(📚Sunan Ibne Majah jild-3)
5️⃣ SURAT UL QADR:
"Beshak Hamne Ise Shabe Qadr Mein Utara Aur Tumne Kya Jana, Kya Shabe Qadr ? Shabe Qadr Hazaar Maheeno Se Behtar, Is Mein Firishte Aur Zibreel (عَلَیْہِ السَّلَام) Utarte He Apne Rab Ke Hukm Se, Har Kaam Ke Liye, Woh Salamati He Subah Chamakne Tak.
(Para-30, Surat-ul-Qadr)
🔶 Surat-ul-Qadr Ka (Maqame Nuzool Ke Aetibaar Se) Madani He Aur Ek Qaul Yah He Ki Makki He.
Khazin, Tafseer Surat-ul-Qadr, 4/395
🔶Is Surat Mein Ek Rukoo Aur Paanch Aayate He. Qadr Ke Bahut Se Maani He Albatta Yaha Qadr Se Azmat Wa Sharafat Muraad He Aur Chunki Is Surat Mein Laylat-ul-Qadr Ki Shaan Bayan Ki Gayi He Is Munasibat Se Ise "Surah Qadr" Kahte He.
🔶 Is Surat Mein Quraane Majeed Naazil Hone Ke Ibtidai Zamane Ke Bare Mein Bataya Gaya Aur Jis Raat Mein Quraan Majeed Naazil Huwa Us Raat Ki Fazeelat Bayaan Ki Gayi Ki Yeh Raat Hazaar Maheeno Se Behtar He, Is Raat Mein Firishte Aur Hazrat Zibreel عَلَیْہِ السَّلَام Allah Ta'ala Ke Hukm Se Utarte He Aur Yeh Raat Subah Tuloo Hone Tak Sarasar Salamati Wali He.
6️⃣ Shabe Qadr Ko Poshida Kyu Rakha Gaya...?
Imaam Fakhruddin Raazi رَحْمَۃُاللّٰہِ تَعَالٰی عَلَیْہِ Farmate He, ALLAH عَزَّوَجَلَّ Ne Shabe Qadr Ko Chand Wajaho Ki Bina Par Poshida Rakha He :
(1) Jis Tarah Digar Ashya'a Ko Poshida Rakha, Maslan ALLAH عَزَّوَجَلَّ Apni Raza Ko Itaa'ato Mein Poshida Farmata He Taki Bande Har Itaa'at Mein Ragbat Haasil Kare, Apne Gazab Ko Gunaaho me Poshida Farmaya Taki Har Gunaah Se Bachte Rahe, Apne Wali Ko Logon me Poshida Rakha Taki Log Sabki Taazim Kare, Du'aa Ki Qubooliyyat Ko Du'aaon me Poshida Rakha Taki Woh Sab Du'aaon Mein Mubaalga Kare, 'Isme Aazam' Ko 'Isma'a' Mein Poshida Rakha Taki Wah Sab 'Isma'a' Ki Taazim Kare. Aur 'Namaze Wusta' Ko Namazo Mein Poshida Rakha Taki Tamaam Namazo Ki Pabandi Kare. Taubah Ki Qubooliyyat Ko Poshida Rakha Taki Banda Tauba Ki Tamam Aqsaam Par Hameshgi Ikhtiyaar Kare Aur Maut Ka Waqt Poshida Rakha Taki Banda Khauf Khata Rahe Isi Tarah Shabe Qadr Ko Bhi Poshida Rakha Taki Loug Ramzan Ki Tamaam Raato Ki Taazim Kare.
(2) Goya Ki Allah Ta'ala Irshad Farmata He, "Agar Me Shabe Qadr Ko Mu'ayyan Kar Deta Aur Ye Ki Me Gunaah Par Teri Zara'at Ko Bhi Janta Hu, To Agar Kabhi Sahwat Tujhe Is Raat Me Gunaah Ke Kanaare La Chhodti Aur Tu Gunaah Mein Mubtila Ho Jata To Tera Is Raat Ko Janne Ke Bawajood Gunaah Karna La-Ilmi Ke Saath Gunaah Karne Se Ziyada Shakht Hota Pas Is Wajah Se Mene Ise Poshida Rakha.

(3) Goya Ki Irshad Farmaya Ki Meine Is Raat Ko Poshida Rakha Taki Shara'ee Ahkam Ka Paband Bandah Is Raat Ki Talab Mein Mehnat Kare Aur Is Mehnat Ka Sawaab Kamayein.
(4) Jab Bande Ko Shabe Qadr Ka Yakeen Haasil Na Hoga To Woh Ramzan Ki Har Raat Mein Is Ummid Par Allah عَزَّوَجَلَّ Ki Itaa't Mein Koshish Karega Ki Ho Sakta He Ki Yahi Raat Shabe Qadr Ho.
(تفسیر کبیر، القدر، تحت الآیۃ: ۱، ۱۱ / ۲۲۹-۲۳۰)
7. Shabe Qadr Me Padhne Wali Namaz Ka Tarika Aur Shabe Qadr Ke Aamal :
➤4 rakat namaz 2-2 karke is tarah padhen ki baad surah fatiha ke surah takasur 1 baar surah ikhlaas 3 baar,is namaz ko padhne se maut ke waqt ki sakhtiya aasaan hongi.
Nuzhatul majalis,jild 1,safah 129
➤2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 7 baar salaam pherne ke baad ASTAGFIRULLAH 7 baar, isko padhne se uske waalidain par rahmat barsegi
Baarah maah ke fazayal,safah 436
➤2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 3 baar,is namaz ka sawab tamam musalmano ko bakhshen aur apne liye magfirat ki dua karen to maula taala use bakhsh dega
Muqashifatul quloob,safah 650
Yaad rahe ki jab tak farz zimme par baaqi ho koi bhi nafl ibadat maslan namaz roza wazayaf qubool nahin kiya jaata,qarze namaz ka utaarna farze azeem hai ab agar namaze qaza hain to pahle unhe padhein,Hukm yahan tak hai ki asr aur esha ki pahli sunnat ki jagah aur tamam panj waqta nawafil ki jagah apni qaza namaze padhen.
Kya kaza namaz padhne par bhi utna hi sawab milenga jitna shab e qadr ki nafl namaz padhne me milenga
ReplyDeletePAHLE JITNI FARZ WAJIB NAMAZE KAZA HUI HAI PHLE UN FARZ AUR WAJIB KO PURA KARNA ZARURI HAI...... JAB TAK FARZ AUR WAJIB JIMME BAKI HAI TAB TAK NAFIL NAMAZE KI JAGAH FARZ AUR WAJIB NAMAZO KO PURI KARE
Delete