जानिये! छोटे बच्चे का जनाज़ा किस तरह उठाया जाता हैं.





Bacche Ka Janaza Uthane Ka Tarika:


➤ Chote bacche ke Janaze ko agar ek shakhs hath par utha kar le chale to haraj nahi aur yake baa'd deegare log hatho hath lete rahe.


Ref: Al Bahr Al Raaiq, J: 2, S: 335
.
.
➤Aurraton ko (baccha ho ya bada kisi ke bhi) Janaze ke sath jana na jaayiz wa mamnu'a hai.

Ref: Durre Mukhtar wa Raddul Muhtar, J: 3, S: 162

➤ Namaze Janaza Ke Baa'd Wapasi Ke Masaayil

Jo shakhs Janaze ke sath ho use bigair Namaz padhe wapas na hona chahiye aur Namaz ke baa'd auliyae mayyit (yaa'ni marne wale ke sar paraston) se izazat lekar wapas ho sakta hai aur dafn ke baa'd izazat ki haajat nahi.

Ref: Aalamgiri, J: 1, S: 162

No comments