जानिये ! जिन्नों के बारे में कुछ तफ्सीली मअलूमात




Who Is Jinnat ?


Ye Aag Se paida kiye gaye hai. isme baaz ko yah takat hasil hai ki jo shaql chahe ikhtiyar kar le.insaan ki tarah hi rooh jism aql paidayish khaana peena jeena marna sab kuchh hota hai,inme musalman aur kaafir dono hote hain magar kaafiron ki taadaad zyada hai.

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 24


➤Jinno ke wujood ka inkar karna ya unko badi ki kuwwat ka naam dena Kufr hai.

📕 Bahare shariyat,hissa 1

➤Jinno ki umr (age) bahut jyada hoti hai. Jinno ke sharir (body) ko Shaitan kahte hai aur Jinno ki Aulade bhi hoti hai, ye khate, peete aur jeete-marte bhi hai.

📕 Bahare shariyat,hissa 1

➤Musalman aur kaafir hi kya balki inme yahudi, nasrani, majusi, mushrik aur phir sunni khaarji raafji jabriya qadriya bidati sab hote hain.

📕 Khaazin,jild 6,safah 140



➤Inme koi nabi na hua magar sahabi hone ka sharf bahuto ko haasil hai.

📕 Umdatul qaari,jild 7,safah 287
📕 Takmilul imaan,safah 9

➤Inme kaafiron ke liye jahannam ka azaab taiyar hai aur imaan waalo ko jannat ke aas-paas thahraya jayega kyunki jannat hazrate Aadam Alaihissalam ki jageer hai aur unki aulaad me hi taqseem hogi haan jinn jannat ki sair ko aaya karenge.

📕 Almalfooz,hissa 4,safah 75








जिन्नों के बारे में कुछ तफ्सीली मअलूमात इस तरह है|




➤ ये आग से पैदा किये गए हैं,इनमें बअज़ को ये ताक़त हासिल है कि जो शक्ल चाहें इख़्तियार कर लें,इंसान की तरह ही रूह जिस्म अक़्ल पैदाईश खाना पीना जीना मरना सब कुछ होता है,इनमे मुसलमान और काफिर दोनों होते हैं मगर काफिरों की तादाद ज़्यादा है |

📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 1,सफह 24



 मुसलमान और काफिर ही क्या बल्कि इनमे यहूदी, नसरानी, मजूसी, मुशरिक और फिर सुन्नी खारजी राफ्ज़ी जबरिया क़दरिया बिदअती सब होते हैं|

📕 खाज़िन,जिल्द 6,सफह 140



 इनमे कोई नबी ना हुआ मगर सहाबी होने का शर्फ बहुतों को हासिल है|
📕 उम्दतुल क़ारी,जिल्द 7,सफह 287 
📕 तकमीलुल ईमान,सफह 9

इनमे काफिरों के लिए जहन्नम का अज़ाब तैयार है और ईमान वालों को जन्नत के आस-पास ठहराया जायेगा क्योंकि जन्नत हज़रते आदम अलैहिस्सलाम की जागीर है और उनकी औलाद में ही तक़सीम होगी हां जिन्न जन्नत की सैर को आया करेंगे|


📕 अलमलफूज़,हिस्सा 4,सफह 75 


3 comments:

  1. hadise pak me aaya he ke aek jinnat ki jamat huzur ki bargah me aae or kha ya rasulallah aap apne sahaba se farmade ke jab woh gost khale to haddiya achi jagah par dale ku ke woh hamara khana he ye momim jinnat ka khana he napak jinn gobar khate he

    ReplyDelete