73 FIRKE IN ISLAM (PART-2)




73 FIRKE IN ISLAM (PART-2):


Ab aaj jo log sunniyon se ye kahte nazar aate hain ki kyun firkon me musalmano ko uljha rakha hai dar asal wo jaahil ahmaq aur be imaan kism ke log hain warna aisi aaftab raushan hadees se radd gardaani na karte,ye firka sunni nahin banate balki kuchh be imaan ahle sunnat wa jamaat se nikalkar ek alag gumraah jamaat bana daalte hain suuni usi ki nishaan dehi karta hai,aur firqa banna to huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ke zamane mubarak me hi shuru ho gaya tha kuchh be imaan musalmano se alag ek jamaat bana chuke the jise munafiq kaha gaya aur un munafiqon ke haq me kayi aaytein naazil huyi aur kayi hadise paak marwi hai


➤KANZUL IMAAN - Munafeqeen jab tumhare huzoor haazir hote hain to kahte hain ki hum gawahi dete hain ki beshak huzoor yaqinan khuda ke Rasool hain aur ALLAH khoob jaanta hai ki beshak tum zaroor uske rasool ho,aur ALLAH gawahi deta hai ki beshak ye munafiq zaroor jhoote hain........Izzat to ALLAH aur uske Rasool aur musalmano ke liye hai magar munafikon ko khabar nahin

📕 Paara 28, surah munafekoon, aayat 1/8

KANZUL IMAAN - Kahte hain hum imaan laayein ALLAH aur Rasool par aur hukm maana,phir kuchh unme se uske baad phir jaate hain aur wo musalman nahin

📕 Paara 18,surah noor,aayat 47

KANZUL IMAAN - Ye ganwaar kahte hain ki hum imaan laaye tum farma do ki tum na laaye haan yun kaho ki hum mutiul islaam hue,imaan abhi tumhare dilo me kahan daakhil hua

📕 Paara 26,surah hujraat,aayat 14

KANZUL IMAAN - To kya ALLAH ke kalaam ka kuchh hissa maante ho aur kuchh hisso ke munkir ho,to jo koi tumme se aisa kare to uska badla duniya ki zindagi me ruswayi aur qayamat ke din sabse zyada azaab ki taraf palte jayenge,aur ALLAH tumhare kartuto se be khabar nahin.yahi log hain jinhone aql bechkar duniya khareedi,to na unpar se kuchh azaab halka ho aur na unko madad pahunche

📕 Paara 1,surah baqar,aayat 85-86

In aayto ko gaur se padhiye aur bataiye ki wo kaun log the jo ALLAH par imaan laate the huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ki nubuwat ki gawahi dete the,zaahir si baat hai ki kaafir to aisa karte nahin hain kyunki wo to sire se munkir hain to maanna padega ki ki ye wahi log the jo ba zaahir to daadhi rakhte topi lagate namaz padhte roza rakhte hajj karte zakat dete magar phir bhi dil se imaan nahin laate the aur ye wahi log the jo quran ki wo aayte maante jo inke liye nafa bakhsh hoti aur jo inke haq me na hoti yaani jinse ambiya wa auliya ki shaan bayaan hoti uska fauran inkaar kar dete,munafiq ki yahi khaslat wahabi devbandi qaadiyani khaarji raafji ahlehadees jamate islami aur tamam bad mazhabo ke andar paayi jaati hai ki quran ki jo aayat inke haq me hai uspar fauran imaan le aaye aur jo inke haq me nahin usse inkaar kar diya magar yaad rahe ki quran ki ek bhi aayat ka inkaar kufr hai,bahar haal aisi saikdon aaytein pesh ki ja sakti hai magar un sabko na likhkar sirf unka hawala likhta hoon jinko uski taraf ruju karna ho wo quran kholkar dekh sakta hai

📕 Paara 1, surah baqar, aayat 39
📕 Paara 26, surah muhammad, aayat 34
📕 Paara 26, surah fatah, aayat 26/29
📕 Paara 18, surah noor, aayat 55
📕 Paara 5, surah nisa, aayat 115
📕 Paara 4, surah aale imran, aayat 110
📕 Paara 28, surah mujadila, aayat 22
📕 Paara 20, surah ankaboot, aayat 2
📕 Paara 10,surah tauba,aayat 23
📕 Paara 28, surah mumtahina, aayat 1-2
📕 Paara 6,surah maaydah,aayat 51
📕 Paara 9,surah eraaf,aayat 179
📕 Paara 25,surah jashia,aayat 23
📕 Paara 28,surah juma,aayat 5

KANZUL IMAAN - Aur beech ki raah theek ALLAH tak hai aur kuchh raahein tedhi hai

📕 Paara 14,surah nahal,aayat 9

KANZUL IMAAN - Ye hai mera seedha raasta to ispar chalo aur raahein na chalo ki tumhein uski raah se juda kar dengi

📕 Paara 8,surah inaam,aayat 153



In dono Aayto ki tasreeh is hadise paak se hoti hai, mulahza farmayein

HADEES - Hazrat Abdullah ibne masood raziyallahu taala anhu farmate hain ki HUZOOR Swallallahu taala alaihi wasallam ne hamein samjahne ke liye ek seedhi lakeer kheenchi aur farmaya ki ye ALLAH ka raasta hai phir usi lakeer ke daayein baayein chand aur lakire kheench kar farmaya ki ye bhi raaste hain inme se har ek raaste par shaitan baitha hua hai jo apni taraf bulata hai phir huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne ye aayat padhi (jo oopar darj hai)

📕 Mishkat,bab-ul sunnah,safah 30

2 comments:

  1. clinic while the other money manager needs to begin a liquor manufacturing plant or a betting nook.marriage in Islam

    ReplyDelete