Kya Baith Hona Qur'aan wa Hadees Se Sabit Hai ❓



"Jis Tarah Huzoor Swallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Sahaba e kiraam Alaihimurridhwan Ke Baith Karne Ka Ahadees me Zikr Aaya Hai, Isi Tarah Quraan e Pak Me Bhi Huzoor Swallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Daste Mubarak Par Sahaba e Kiraam Baith Hone Ka Zikr Aaya Hai, Jis Se Waaze Hota Hai Ke Kisi Nek Swaleh Jame Sharaait Musalman Buzurg Ke Haath Baith Hona Jaaiz Balke Sunnat Hai."


Qur'aan Shareef :


▶Wo Jo Tumhari Baith Karte Hain Woh Allah Hi Se Baith Karte Hain, In Ke Haathon Par Allah Ka Haath Hai.

( Surah:Al-Fath, Ayat10 )


▶Tafseer : is baith se muraad Baith-e-Rizwan hai, jo hudaibiah me Huzoor Swallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Tamam Muhajireen wa Ansaar Se li Thi. 

( Noorul Irfan, Hashiya Aayate Mazkurah)



Hadees Shareef


▶Farmane Mustafa Swallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Hai:  "Jis Shakhs Ne Kisi Imam Se Baith Ki Is Ke Haath Par Haath Rakha aur Dil Se Iske Saath Hua..., woh ba qadre istitaa'at Is Ki Itaa'at Kare."

(Sahih Muslim, Saf1026, Hadees1844.)



No comments