Hazrat Sayyiduna Ibraheem Alaihissalam Ke 10 Makhsoos Fazail


Hazrat Ibraheem Alaihissalam


Hazrat Sayyiduna Ibraheem Alaihissalam Ke 10 Makhsoos Fazail:


1⃣ Rasoole Pak صلی اللہ علیہ و اٰلہ و سلم Ke Bad Hazrt Ibraheem Alaihissalam Sab Se Afzal Hai.

2⃣ Hazrat Ibraheem علیہ الصلٰوةُ والسلام Hi Apne Bad Aane Wale Saare Anbiya e Kiram Ke Walid Hai.

3⃣ Har Aasmani Deen Me Aap Hi Ki Pairvi aur Ita'at Hai.

4⃣ Har Deen Waale Aap Ki Tazeem Karte Hain.

5⃣ Aap Hi Ki Yaad Qurbani Hai.

6⃣ Aap Hi Ki Yadgaar Haj Ke Arkan Hain.

7⃣ Aap Hi Kaba Shareef Ki Pahli Tameer Karne Wale Yani Ghar Ki Shakl Me Banane Wale

8⃣ Jis Patthar (Maqame Ibraheem) Par Khade Hokar Aap Ne Kaba Shareef Banaya Wahan Qiyam aur Sajde Hone Lage.

9⃣ Qiyamat Me Sabse Pahle Aap Hi Ko Umda Libas Ataa Hoga... iske Fauran bad Hamare Huzoor e Pak صلی اللہ علیہ و سلم Ko.

🔟 Musalmanon Ke Faut Hojane Wale Bachon Ki Aap Alaihissalam aur Aap Ki Biwi Sahiba Hazrat Sara رضی اللہ عنھا Aalame Barzakh Me Parwarish Karte Hain.

(تفسیر نعیمی، ج1، ص682.)

1 comment: