जानिये ! जुमा के दिन को जुमा क्यों कहा जाता है ?
Allama Ibne Manzur Sahab Likhte Hai:
Jis Din Ko Zamana Jahiliyat Me Aruba Kahte They Wahi Din Zamana Islamiyah Me Jumuah Qarar Paaya Hai, Is Din Ko Jumuah Isliye Kahte Hai Ke Is Din Ibadat Ke Liye Boht Jayda Log Jamah Hote Hai Jis Tarah Boht Jadya دحنتہ Karne Wale Shakhs Ko Lugt Me دُحُنتہ Kahte Hai.
Allama Sh'lab Sahab Kahte Hai:
Ke Jis Shakhs Ne Sab Se Pehle Is Din Ko Jumuah Ka Nam Dia Wo Rasoolallah ﷺ Jad E Amjad Ka'ab Bin Laui They Us Se Pehle Is Din Ko Aruba Kaha Jata Tha.
Allama Sahli Ne Al Dauz Ul Anf Me Likha Hai:
Ke Barchand Ke Ka'ab Bin Naui Ne Sab Se Pahle Aruba Ko Jumuah Ka Nam Dia Lekib Aruba Ka Yeh Naam Zamana E Islam Me Mash'hur Hua Hai.
Alama Sahli Likhte Hai Ke Ka'ab Bin Laui Is Din Logo Ko Jamah Karte Aur Unke Samne Taqrir Karte Jis Me Unhe Rasoolallah ﷺ Ki Ba'asat Ke Bare Me Khabar Dete Aur Yeh Batlate Ke Aap Unki Aaulad Me Se Mabus Hoge Aur Unhe Aapki Itebah Aur Aap Par Imaan Laane Ki Nasiyat Karte,
Hadees Me Hai Ke Pehla Jumuah Madina Me Pardha Gaya. Hazrat Ibne Abbas Radiallahu Tal'la Anho Bayan Karte Hai Ke Jumuah Ko Jumuah Isliye Kahte Hai Ke Is Din Main ALLAH Ta'la Ne Khalqat E Adam Ko Jamah Kia. Alama Sha'alab Ne Ek Qaul Yeh Bhi Naqal Kia Hai Ke Is Din Quraish Dar Ul Narda Me Jamah Hote They Isliye Yeh Din Jumuah Kahlata. Behar Haal Akshar Ulma Nazriyah Yeh Hai Ke Is Din Ko Zamana E Islam Me Jumuah Kaha Gaya.
Allama Ibne Qayum Likhte Hai :
Imaam Hakim Aur Imaam Ibne Hibbaan Ne Apni Apni Sahi Me Hadees Zikr Ki Hai Ke Hazrat Aads Bi Aaus Bayan Karte Hai Ke
Nabi ﷺ Ne Famraya Sab Se Afzal Din Jumuah Hai Isi Din Hazrat Adam Allaysallam Paida Hue Isi Din Faut Hue, Isi Din Sur Phunka Jayega Isi Din Qayamat Hogi, Is Din Mujh Par Bakasart Durud Sharif Pardha Karo Kyon Ke Tumhara Durood Mujh Par Paish Kia Jata Hai. Sahaba Ne Arz Kia : Yaa Rasoolallah ﷺ Aap Apr Durud Kaise Paish Hoga Halake Aap Parda Kar Chuke Hoge. Aapne Farmaya ALLAH Ta'la Ne Zamin Par Ajsa E Ambiyah Ko Khana Haram Kar Dia Hai .
Aur Imaam Ahmad Ne Apni Musnad Me Yeh Hadees Zikr Ki Hai Ke Hazrat Abu Huraira Radiallahu Ta'la Anho Bayan Karte Hai Ke Nabi ﷺ Se Pucha Aya Ke Is Din Ka Naam Jumuah Kyon Rakha Gaya Aapne Famrya Is Din Tumhare Baap Hazrat Adam Allaysallam Ka Khamir Tayar Kia Gaya Isi Din Sur Hoga, Isi Din Hashr Hoga, Isi Din Hasihb Hoga Isi Din Ke Akhir Me Tin Sa'at Hai Jin Me Se Ek Saa'at Wo Hai Jis Me Banda ALLAH Ta'la Se Jo Dua Kar Kabul Hoti Hai.
Sharah Sahi Muslim Kitab Ul Jumuah
Post a Comment