🔸Ashura Ke Fazail Aur Roze Ki Fazilat (आशूरा के फ़ज़ाइल और रोज़े की फ़ज़ीलत )


https://islamknowladge.blogspot.com


📖HADEES: 

➤Hzt Abdullah Bin Masood RaziALLAHU anhu se riwayat hai pyare NABI sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:

"Jisney Ashura ke din apne gharwalo par kharch karne me kushadgi(largeness) ki, ALLAH paak uske liye saal bhar kushadgi ata farmayega".

(📚Shu'abul iman al'baihaqi hadees-3626)


➤Hzt Jabir RaziALLAHU anhu farmate hai:

"Maine 40 Saal iska(ashura ke din kharch karne ki fazilat ka) tajurba kiya aur iske khilaf nahi hua, hamesha kushadgi aur barkat ko paaya"

(📚Durre Mukhtar jild-2, kitabus saum)


Ashoora k roozey ki fazeelat:


➤Hazrat Syedna Abdullah Ibn-e-Abbas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ fermaty hain k main ney AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ko kisi din k roozey ko aur din per fazeelat dey ker justajoo fermaty na dekha mager yeh k ASHOORA ka din aur yeh k RAMAZAN ka maheena".

(Sahi Bukhari, V:1, Page:657, Hadees:2006)

➤AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya:"Ashoora ka rooza rukho aur es main yahoodiyon ki mukhalfat karo, es sey pehly yaad baad main aik din ka rooza rukho".

(Musnid Imam Ahmed, V:1, Page:518, Hadees:2154)

➤AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya:"Ashoora ka rooza aik saal qabl k gunah mita deita hai".

(Sahi Muslim, Hadees:1162)



Ashura Ke 25 Khususiyaat:


1) 10 Moharramul Haraam Ashura Ke Roz Hazrate Sayyeduna Adam عليه السلام Ki Taubah Qubool Ki Gayi.

2) Isi Din Hazrate Sayyeduna Adam عليه السلام Ko Paida Kiya Gaya.

3) Isi Din Hazrate Sayyeduna Adam عليه السلام Ko Jannat Me Dakhil Kiya Gaya.

4) Isi Din Arsh.

5) Kursi.

6) Aasman.

7) Zameen.

8) Suraj.

9) Chaand.

10) Sitaarey.

11) Jannat Paida Ki Gayi.

12) Isi Din Hazrate Sayyeduna Ibrahim Khalilullah عليه السلام Paida Hue.

13) Isi Din Hazrate Sayyeduna Ibrahim Khalilullah عليه السلام Ko Aag Se Nazaat Mili.

14) Isi Din Hazrate Sayyeduna Moosa Kalimullah  عليه السلام Aur Aap Ki Ummat Ko Najaat Mili Aur Firoun Apni Qaum Samet Garaq Huwa.

15) Isi Din Hazrate Sayyeduna Isa Roohullah  عليه السلام Paida Kiye Gaye.

16) Isi Din Hazrate Sayyeduna Isa Roohullah  عليه السلام Ko Aasmano Ki Taraf Uthaya Gaya.

17) Isi Din Hazrate Sayyeduna Nooh  عليه السلام
Ki Kashti Kohe Judi (Mount Judi) Par Thehri.

18) Isi Din Hazrate Sayyeduna Suleman عليه السلام Ko Mulk-E-Azeem Ataa Kiya Gaya.

19) Isi Din Hazrate Sayyeduna Yunus عليه السلام Machli Ke Peth Se Nikale Gaye.

20) Isi Din Hazrate Sayyeduna Yaqoob عليه السلام Ki Binaayi Ka Zo'f Door Huwa (Eyesight was returned back).

21) Isi Din Hazrate Sayyeduna Yusuf عليه السلام Gehre Kuwein Se Nikale Gaye.

22) Isi Din Hazrate Sayyeduna Ayub عليه السلام Ki Takleef Ra'fa'a Ki Gayi.

23) Aasman Se Zameen Par Sab Se Pehli Barish Isi Din Nazil Hui Aur

24) Isi Din Ka Roza Ummaton Me Mash'hoor Tha. Yahan Tak Ki Yeh Bhi Kaha Gaya Ki Isi Din Ka Roza Maahe Ramazanul Mubarak Se Pehle Farz Tha Phir Mansookh Kar Diya Gaya.

25) Imame Arshe Maqaam, Imaame Hussain رضي الله تعالٰی عنه Ko Bama'a Shehzaadgaan Wa Rufaqa 3 Din Bhooka Rakhney Ke Baad Isi Ashura Ke Dasht-E-Karbala Me Intihaayi Saffaaqi Ke Saath Shaheed Kiya Gaya.

Ref.
👉🏻 Sahih Al Bukhari:
Hadees 1892, 1893
Book ref. : 30, Hadees 2, 3.
Eng ref. : Vol. 3, Book 31, Hadees 116, 117

👉🏻 Sahih Al Bukhari:
Hadees 3943
Book ref. : 63, Hadees 168.
Eng ref. : Vol. 5, Book 58, Hadees 279

👉🏻Mukashafatul Qulub: Safha 311

👉🏻Imaam Hussain رضي الله تعالٰی عنه Ki Karamat (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 22-23

"Aap Bhi Niyat Kar LE  Ke Moharram Ke Rozey Rakheingey Khaas Taur Par Ashura Ka Roza."

AAMEEN !

No comments