🔸"ALLAH ﷻ KE WALI KA DARJA KYA HOTA HAI..?
"Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat haiñ Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ, Allah ﷻ farmata hai :
Jo mere kisi wali se dushmani rakhe Maiñ usse ailaan e jung karta hu aur Mera banda aisi kisi cheez ke zariye Mera qurb nahi paata jo Mujhe farz se zyada mehboob ho, aur mera banda nafl ibadat ke zariye barabar Mera qurb haasil karta rehta hai. Yahan tak ke Maiñ usse muhabbat karne lagta hu to Maiñ uska kaan ban jaata hu jisse woh sunta hai aur uski aankh ban jaata hu jisse woh dekhta hai aur uske haath ban jaata hu jisse woh pakadta hai aur uske pair ban jaata hu jisse woh chalta hai Agar woh Mujhse sawal karta hai to Maiñ ussey zaroor ata karta hu aur agar woh meri panaah mangta hai to Maiñ zaroor ussey panaah deta hu.....
📘[Bukhari Shareef 05/2384 raqam 6137]
📘[Sahih Bukhari # 6502.]
📔[Ibn Hibban 02/58 raqam 347]📔
📗[Baihaqi As Sunan ul Kubra 10/219 baab 60]📗
➤ Sunlo Beshak Allah Ke Waliyon Par Na Kuch Khauf Hai Na Kuch Gham.
(Surah :Younus, Ayat62)
Post a Comment